نذرِ غالب
جس دن سے اُس نگاہ کا منظر نہیں ہوں میں
ہر چند آئنہ ہوں، منور نہیں ہوں میں
بکھرا ہوا ہوں شہرِ طلب میں اِدھر اُدھر
اب تیری جستجو کو میسر نہیں ہوں میں
یہ عمر اک سراب ہے صحرائے ذات کا
موجود اس سراب میں دم بھر نہیں ہوں میں
گردش میں ہے زمین بھی، ہفت آسمان بھی
تُو مجھ پہ غور کر کہ مکرر نہیں ہوں میں
ہوں اُس کی بزمِ ناز میں مانندِ ذکرِ غیر
وہ بھی کبھی کبھار ہوں، اکثر نہیں ہوں میں
تُو جب طلب کرے گا مجھے بہرِ التفات
اُس دن خبر ملے گی کہ در پر نہیں ہوں میں
ہے بامِ اوج پر یہ مری تمکنت مگر
تیرے تصرفات سے باہر نہیں ہوں میں
میں ہوں ترے تصورِ تخلیق کا کمال
اپنے کسی خیال کا پیکر نہیں ہوں میں
کر دے کسی مہک سے معطر مشامِ جاں
چُھو لے مجھے کہ خواب کا منظر نہیں ہوں میں
عرفانؔ خوش عقیدگی اپنی جگہ مگر
غالبؔ کی خاکِ پا کے برابر نہیں ہوں میں
jis din se us nigaah ka manzar nahin hoon main
har-chand aayina hoon, munawwar nahin hoon main
bikhra hua hoon shehr-e-talab mein idhar udhar
ab tairi justujo ko mayassar nahin hoon main
yeh umar ik saraab hai sehra-e-zaat ka
maujood is saraab mein dum bhar nahin hoon main
gardish mein hai zameen bhi, haft aasman bhi
tu mujh pe ghaur kar ke mukarrar nahin hoon main
hoon us ki bazm-e-naaz mein manand-e-zikr-ghair
woh bhi kabhi kabhaar hoon, aksar nahin hoon main
tu jab talab karey ga mujhey behr-e-iltifaat
us din khabar miley gi ke dar par nahin hoon main
hai baam-e-auj par yeh meri tamkanat magar
tairey tasarrufaat se baahar nahin hoon main
main hoon terey tassawur-e-takhleeq ka kamaal
apney kisi khayaal ka paikar nahin hoon main
kar dey kisi mahak se mo'atar mishaam-e-jaan
chu ley mujhey ke khuwaab ka manzar nahin hoon main
Irfan, khush-aqeedagi apni jagah magar
Ghalib ki khaak-e-pa ke barabar nahin hoon main
No comments:
Post a Comment