Kise Parwa Lagi Hai Aag Kis Ke Aashyane Mein Chaman Wale Magan Hain Jishn e Chiraghan Ke Manane Mein



کسے پروا لگی ہے آگ کس کے آشیانے میں
چمن والے مگن ہیں جشن چراغاں کے منانے میں
Kise Parwa Lagi Hai Aag Kis Ke Aashyane Mein
Chaman Wale Magan Hain Jishn e Chiraghan Ke Manane Mein
 
جو ذمے دار تھے آرائش صحن گلستاں کے
وہی مصروف ہیں آشیانوں کے جلانے میں
Jo Zamadaar Thay Aaraaish e Sehn e Gulistan Ke
Wahi Masroof Hain Aashyanon Ke Jalane Mein
 
نہ دیکھ اے آسماں تو رشک سے میرے نشیمن کو
ہوا ہے صَرف خون دل مرا اسکے بنانے میں
Na Dekh Aey Aasman Tu Rashk Se Mere Nasheman Ko
Howa Hai Sarf Khoon e Dil Mera Iske Banane Mein
 
کسی کو کیا خبر کہ اس دل نازک پہ کیا گزری
جفا کا ذکر جب آیا وفاؤں کے فسانے میں
Kisi Ko Kia Khabar Keh Iss Dil e Nazuk Pe Kia Guzri
Jafa Ka Zikar Jab Aaya Wafaon Ke Fasane Mein
 
یاسمؔین عمر بیتی یاد کرنے میں جنہیں
وہی ہیں مصروف آج مجھے بھلانے میں
YASMEEN Umar Beeti Yaad Karne Mein Jinhein
Wahi Hain Masroof  Aaj Mujhe Bhulane Mein

شگفتہ یاسمؔین
Shagufta Yasmeen


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo