Kuch Bhi Kar Guzarney Mein Der Kitni Lagti Hai Barf Ke Peghalney Mein Der Kitni Lagti Hai



کچھ بھی کر گزرنے میں دیر کِتنی لگتی ہے
برف کے پگھلنے میں دیر کِتنی لگتی ہے
Kuch Bhi Kar Guzarney Mein Der Kitni Lagti Hai
Barf Ke Peghalney Mein Der Kitni Lagti Hai

اُس نے ہنس کے دیکھا تو مُسکرا دیے ہم بھی
ذات سے نکلنے میں دیر کِتنی لگتی ہے
Uss Ne Hans Ke Dekha  Tou Muskura Diye Hum Bhi
Zaat Se Nikalney Mein Der Kitni Lagti Hai

ہجر کی تمازت سے وصَل کے الاؤ تک
لڑکیوں کے جلنے میں دیر کِتنی لگتی ہے
Hijar Ke Tamazat Se Wasal Ke Alaao Tak
Larkion Ke Jalney Mein Der Kitni Lagti Hai

بات جیسی بے معنی بات اور کیا ہو گی
بات کے مُکرنے میں دیر کِتنی لگتی ہے
Baat Jaisi Be-Ma'ani Baat Aur Kia Hogi
Baat Ke Mukarney Mein Der Kitni Lagti Hai

زعم کِتنا کرتے ہو اِک چراغ پر اپنے
اور ہَوا کے چلنے میں دیر کِتنی لگتی ہے
Zagham Kitna Karte Ho Ik Chiraagh Par Apne
Aur Hawa Ke Chalney Mein Der Kitni Lagti Hai

جب یقیں کی بانہوں پر شک کے پاؤں پڑ جائیں
چوڑیاں بِکھرنے میں دیر کِتنی لگنی ہے
Jab Yaqeen Ki Banhon Par Shak Ke Pavn Pad Jaein
Choodiyan Bikharney Mein Der Kitni Lagti Hai

نوشی گیلانی
Noshi Gilani


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo