Main Hi Anjam Main Hi Ibteda Hoon Thama Waqfa Hoon Main Hi Silsila Hoon



میں ہی انجام میں ہی ابتدا ہوں
تھما وقفہ ہوں میں ہی سلسلہ ہوں
 Main Hi Anjam Main Hi Ibteda Hoon
Thama Waqfa Hoon Main Hi Silsila Hoon

مزاج دل مرا گوشہ گزیں ہے
زمانے کی نظر میں نک چڑھا ہوں
Mizaj e Dil Mera Gosha Gazeen Hai
Zamane Ki Nazar Mein Nak Charha Hoon

فسانہ نصف ہی ظاہر ہے میرا
ہنسی میں غم چھپاتا مسخرا ہوں
Fasana Nisf Hi Zahir Hai Mera
Hansi Mein Gham Chupata Maskhara Hoon

جو غربت میں بھی دل کو دے رئیسی
میں مفلس کا وہیں اک حوصلہ ہوں
Jo Ghurbat Mein Bhi Dil Ko Dey Raaeesi
Main Muflis Ka Wahein Ik Hosla Hoon

کتابوں میں جو یکجا ہو نہ پایا
وہ دائم زندگی کا تجربہ ہوں
Kitabon Mein Jo Yakja Ho Na Paya
Woh Daaim Zindagi Ka Tajruba Hoon

روزینہؔ ترانیکر دِگھے
اندور, ہندوستان
Rozeena Tranekar Indore Hindustan


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo