Meri har khushi tujh se iss qadar juri hai jaise kissi smandar ka sahil se rishta ho



Meri har khushi tujh se iss qadar juri hai jaise
 kissi smandar ka sahil se rishta ho
bin sahil k samandar adhoora magar
sahil pe ruk jaye samandar
yeh hoga nahi
rishta bhara ajeeb hai
pehchaan sahil ki b samandar se hai magar
har waqt soona para hai
Muntezar hai k kab samandar uss k paas aayega.. aur dono ek ho jayenge
miltay bhi hai magar har baar bicharane k liye
raunda jata hu
masla jata hu
un behisaab  logo k kadmo talley
jin k pairo k nishaa bhi nahi  miltay
Har lamha bus intezar
bekrari
bus khud ko samandar me fnaa karne ki
lehro key  saath ..bas..  nikal jaane ki
har lehar meri zaat k kych zarrey apne saath le jaati hai
kab muqqammal hounga  chamak
khabar nahi
ya khudaya
mujhe muqqammal kar de
kamil k saath kar de
yeh tarap
yeh udaasi
bas
ab khatam kar de
kar meri hasti ko khatam aur mujhe samandar kar de

Dr Arvinder Chamak

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo