Dharti kay badshah ko sirf nagar dikhai day Aur wo kiya karen jinhein chand pe ghar dikhai day



دھرتی کے بادشاہ کو صرف نگر دکھائی دے
اور وہ کیا کریں جنہیں چاند پہ گھر دکھائی دے
Dharti kay badshah ko sirf nagar dikhai day
Aur wo kiya karen jinhein chand pe ghar dikhai day

سوچ ہماری عقل سے اس بے مثال کا جمال
دیکھ ہماری آنکھ سے تجھ کو اگر دکھائی دے
Soch hamari aqal say us be-misaal ka jamaal
Dekh hamari aankh say tujh ko agar dikhai day
 ‏

کھینچ لکیر چاند پر ماہ کو نصف کر کے مل
آدھا خدا سجھائی دے آدھا بشر دکھائی دے
Khench lakeer chand par maah ko nisf kar ke mil
Aadha Khuda sujhai day aadha bashar dikhai day

میرے سوا کوئی نہیں  میں بھی اگر یہاں نہیں
پھر یہ حجاب کس لیے نیچے اتر دکھائی دے
Mere siwa koi nahen main bhi agar yahan nahen
Phir ye hijaab kis liye neechay utar dikhai day

 ‏
اپنے خدا سے آج میں نشے میں مل کے رو دیا
روتے ہوئے اسے کہا پردہ نہ کر دکھائی دے
Apnay Khuda say aaj main nashay mein mil kay ro diya
Rotay howay usay kaha parda na kar dikhai day



Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha