Saza Mili Hai Muhabbat Ko Intehaaoun Ki Hamare Beech Mein Ik Jang Thi Anaaoun Ki



سَزا ملی ہے محبّت کو انتہاؤں کی
ہمارے بیچ میں اک جَنگ تھی اَناؤں کی
Saza Mili Hai Muhabbat Ko Intehaaoun Ki
Hamare Beech Mein Ik Jang Thi Anaaoun Ki


میں اپنی ذات کے دوزخ  میں یوں ہی جلتا رہوں
یہی ہے مرضی میرے خود پسند خداؤں کی
Main Apni Zaat Ke Dozakh Mein Yun Jalta Rahoon
Yahi Hai Marzi Mere Khud Pasand Khudaoun Ki


دُکھوں کی دی گئیں مجھ کو ہزار تاویلیں
وجہہ کوئی نہ ملی ہجر کی سزاؤں کی
Dukhon Ki Di Gaein Mujh Ko Hazar Taweelein
Wajah Koi Na Mili Hijar Ki Sazaoun Ki


میں اُس مقام سے آگے نکل گیا ہوں بہت
کبھی تھی مُجھکو ضَرورت تیری دعاؤں کی
Main Us Muqaam Se Aagay Nikal Gaya Hoon Buhat
Kabhi Thi Mujh Ko Zarorat Teri Duaoun Ki


ہوۓ تھے کشمکشِ زیست سے ابھی فارغ
اُدھر طویل تھی فہرست اک خطاؤں کی
Hoe Thay Kashmakash e Zeest Se Abhi Farigh
Udhar Taweel Thi Farhest Ik Khataoun Ki


بچھڑ نہ جاؤں کہیں ابتلاء کے ساتھی سے
مجھے عزیز ہے زنجیر اپنے پاؤں کی
Bichad Na Jaoun Kahein Ibtila Ke Saathi Se
Mujhe Azeez Hai Zanjeer Apne Pavon Ki


میں ایک گنبدِ ہستی میں قید ہوں ارشد
سُنو تو گونج میری بے نوا صداؤں کی
Main Aik Gunbad e Hasti Mein Qaid Hoon Arshad
Suno To Goonj Meri Be-Nawa Sadaoun Ki


مرزا ارشد علی بیگ
آڈبان ، پینسلوانیا
فروری ٢٧، ٢٠٢١
Mirza Arshad Ali Baig


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha