Dil Peh Kuch Roz Tou Jane Ka Asar Hota Hai Umar Bhar Kon Bhala Kis Ke Liye Rota Hai


غزل
Ghazal

دل پہ کچھ روز تو جانے کا اثَر ہوتا ہے
عمر بھر کون بھلا کس کے لیے روتا ہے
Dil Peh Kuch Roz Tou Jane Ka Asar Hota Hai
Umar Bhar Kon Bhala Kis Ke Liye Rota Hai

 
سوچ کر ہم نے یہی دل کو تسلی دے لی
جو بھی ہوتا ہے وہ اَچّھّے کے لئے ہوتا ہے
Soch Kar Hum Ne Yahi Dil Ko Tasali De Li
Jo Bhi Hota Hai Woh Achay Ke Liye Hota Hai

 
آدمی لاکھ رکھے نفع و نقصاں کا حساب
ایک دن چھوڑ کے سب قبر میں جا سوتا ہے
Aadmi Lakh Rakhay Nafa o Nuqsan Ka Hisaab
Aik Din Chod Ke Sab Qabar Mein Ja Sota Hai
 


اپنے اعمال کا انجام بھی ملتا ہے اُسے
کاٹتا پڑتا ہے انسان کو جو بوتا ہے
Apne A'amaal Ka Anjaam Bhi Milta Hai Usay
Katna Padta Hai Insan Ko Jo Bota Hai

 
اپنے چاہنے سے تو کچھ بھی نہیں ملتا ارشد
وہ ہی ملتا ہے جو قسمت میں لکھا ہوتا ہے
Apne Chahne Se Tou Kuch Bhi Nahi Milta ARSHAD
Woh Hi Milta Hai Jo Qismat Mein Lekha Hota Hai

 
مرزا ارشد علی بیگ
آڈبان ، پینسلوانیا
اگست ٨، ٢٠٢١

Mirza Arshad Ali Baig
Adyan , pinsilvinia
Aug 8 ,2021


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo