Kabhi Ruk Gaye Kabhi Chal Diye Kabhi Chalte Chalte Bhatak Gaye


 

کبھی رک گئے
Kabhi Ruk Gaye

کبھی چل دیئے
Kabhi Chal Diye
کبھی چلتے چلتے بھٹک گئے
Kabhi Chalte Chalte Bhatak Gaye
یونہی عمر ساری گزار دی
Yunhi Umar Sari Guzar Di
یونہی زندگی کے ستم سہے
Yunhi Zindagi Ke Sitam Sahay
کبھی نیند میں
Kabhi Neend Mein
کبھی ہوش میں
Kabhi Hosh Mein
وہ جہاں ملا
Woh Jahan Mila
اسے دیکھ کر
Usay Dekh Kar

نہ نظر ملی نہ زباں ہلی
Na Nazar Mili Na Zubaan Hili
یونہی سر جھکا کر گزر گئے
Yuhi Sar Jhuka Kar Guzar Gaye

مجھے یاد ہے
Mujhe Yaad Hai
کبھی ایک تھے
Kabhi Aik Thay
مگر آج ہم ہیں جدا جدا
Magar Aaj Hum Hein Juda Juda
وہ جدا ہوئے تو سنور گئے
Woh Juda Hoe Tou Sanwar Gaye

ہم جدا ہوئے تو بکھر گئے
Hum Juda Hoe Tou Bikhar Gaye
کبھی عرش پر
Kabhi Arsh Par
کبھی فرش پر
Kabhi Farsh Par
کبھی ان کے در
Kabhi Unke Dar
کبھی در بدر
Kabhi Dar Badar
 غم عاشقی تیرا شکریہ
Gham e Aashiqi Tera Shukria
ہم کہاں کہاں سے گزر گئے
Hum Kahan Kahan Se Guzar Gaye


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha