Pora Dukh Aur Aadha Chand Hijar Ki Shab Aur Aisa Chand
پورا دکھ اور آدھا چاند
ہجر کی شب اور ایسا چاند
Pora Dukh Aur Aadha Chand
Hijar Ki Shab Aur Aisa Chand
دن میں وحشت بہل گئی
رات ہوئی اور نکلا چاند
Din Mein Wehshat Behal Gai
Raat Hoi Aur Nikla Chand
کس مقتل سے گزرا ہوگا
اتنا سہما سہما چاند
Kis Maqtal Se Guzra Hoga
Itna Sehma Sehma Chand
یادوں کی آباد گلی میں
گھوم رہا ہے تنہا چاند
Yadoon Ki Aabaad Gali Mein
Ghoom Raha Hai Tanha Chand
میری کروٹ پر جاگ اٹھے
نیند کا کتنا کچا چاند
Meri Karwat Par Jaag Uthay
Neend Ka Kitna Kacha Chand
میرے منہ کو کس حیرت سے
دیکھ رہا ہے بھولا چاند
Mere Munh Ko Kis Hairat Se
Dekh Raha Hai Bhoola Chand
اتنے گھنے بادل کے پیچھے
کتنا تنہا ہوگا چاند
Itnay Ghanay Badal Ke Peechay
Kitna Tanha Hoga Chand
آنسو روکے نور نہائے
دل دریا تن صحرا چاند
Aansoo Roke Noor Nahaaye
Dil Darya Tan Sahra Chand
اتنے روشن چہرے پر بھی
سورج کا ہے سایا چاند
Itnay Roshan Chehre Par Bhi
Soraj Ka Hai Saya Chand
جب پانی میں چہرہ دیکھا
تو نے کس کو سوچا چاند
Jab Paani Mein Chehra Dekha
Tu Ne Kis Ko Socha Chand
برگد کی اک شاخ ہٹا کر
جانے کس کو جھانکا چاند
Bargad Ki Ik Shaakh Hata Kar
Jane Kis Ko Jhanka Chand
بادل کے ریشم جھولے میں
بھور سمے تک سویا چاند
Badal Ke Resham Jholay Mein
Bhor Samay Tak Soya Chand
رات کے شانے پر سر رکھے
دیکھ رہا ہے سپنا چاند
Raat Ke Shane Par Sar Rakhe
Dekh Raha Hai Sapna Chand
سوکھے پتوں کے جھرمٹ پر
شبنم تھی یا ننھا چاند
Sookhay Patton Ke Jhurmat Par
Shabnam Thi Ya Nanha Chand
ہاتھ ہلا کر رخصت ہوگا
اس کی صورت ہجر کا چاند
Haath Hila Kar Rukhsat Hoga
Uski Soorat Hijar Ka Chand
صحرا صحرا بھٹک رہا ہے
اپنے عشق میں سچا چاند
Sahra Sahra Bhatak Raha Hai
Apne Ishq Mein Sacha Chand
رات کے شاید ایک بجے ہیں
سوتا ہوگا میرا چاند
Raat Ke Shayet Aik Bajay Hein
Sota Hoga Mera Chand
پروین شاکر
Parveen Shakir
Comments
Post a Comment