Jazba e Soz Talab Ko Be-Kraan Karte Chalo Koo Ba Koo Roshan Charagh Karwaan Karte Chalo



جذبۂ سوز طلب کو بے کراں کرتے چلو
کو بہ کو روشن چراغ کارواں کرتے چلو
Jazba e Soz Talab Ko Be-Kraan Karte Chalo
Koo Ba Koo Roshan Charagh Karwaan Karte Chalo

چشم ساقی پر تبسم میکدہ بہکا ہوا
آؤ قسمت کو حریف کہکشاں کرتے چلو
Chishm e Saqi Par Tabassum Mai-Kadah Behka Hoa
Aao Qismat Ko Hareef Kehkeshan Karte Chalo

چھین لاؤ آسماں سے مہر و مہ کی عظمتیں
اور ٹوٹے جھونپڑوں کو ضو فشاں کرتے چلو
Cheen Lao Aasman Se Mehr o Mah Ki Azmatein
Aur Toote Jhonpdiyun Ko Zofashan Karte Chalo

زندگی کو لوگ کہتے ہیں برائے بندگی
زندگی کٹ جائے گی ذکر بتاں کرتے چلو
Zindagi Ko Log Kehte Hein Baraye Bandagi
Zindagi Kat Jayegi Zikr e Buttan Karte Chalo

جن سے زندہ ہو یقین و آگہی کی آبرو
عشق کی راہوں میں کچھ ایسے گماں کرتے چلو
Jin Se Zinda Ho Yaqeen o Aaghi Ki Aabroo
Ishq Ki Rahon Mein Kuch Aise Gumaan Karte Chalo

ہر نفس اے جینے والو شغل پیمانہ رہے
بے خودی کو زندگی کا پاسباں کرتے چلو
Har Nafas Ae Jeenay Walo Shughal Paimana Rahe
Be-Khudi Ko Zindagi Ka Pasbaan Karte Chalo

چھیڑ کر ساغرؔ کسی کے گیسوؤں کی داستاں
ان شگوفوں کو ذرا شعلہ زباں کرتے چلو
Chaid Kar Saghar Kisi Ke Gaisooun Ki Dastan
In Shagofon Ko Zara Shoula Zubaan Karte Chalo

ساغر صدیقی
Saghar Siddqui


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai