Tujh se koi gila nahi lekin Aik uljhan nahi sulajhti hai



ﺗُﺠﮫ ﺳﮯ ﮐﻮﺋﯽ ﮔِﻠﮧ ﻧﮩﯿﮟ ﻟﯿﮑﻦ
ﺍﯾﮏ ﺍُﻟﺠﮭﻦ ﻧﮩﯿﮟ ﺳُﻠﺠﮭﺘﯽ ﮨﮯ
ﻭﻗﺖ ﮨﮯ ﺗﻮ ﺫﺭﺍ ﺳﯽ ﺩﯾﺮ ﭨﮭﮩﺮ
ﺁﺋِﯿﻨﮯ ﺳﮯ ﺫﺭﺍ ﺳﯽ ﮔﺮﺩ ﮨﭩﺎ
ﭘﻮﭼﮭﻨﺎ ﮨﮯ ﮐﮧ ﺧﻮﺍﺏ ﭨﻮﭨﯿﮟ ﺗﻮ
ﮐﺮﭼﯿﻮﮞ ﮐﻮ ﮐﮩﺎﮞ ﺳﻨﺒﮭﺎﻟﺘﮯ ﮨﯿﮟ
‏ﺩﻝ ﮐﻮ ﭘﺘﮭﺮ ﮐﮯ ﺳﺨﺖ ﭘﯿﮑﺮ ﻣﯿﮟ
ﮐﯿﺴﮯ ﯾکدم ﺳﮯ ﮈﮬﺎﻟﺘﮯ ﮨﯿﮟ، ﺑﺘﺎ
ﻋﻤﺮ ﺑﮭﺮ ﮐﮯ ﻣُﻌﺎﮨﺪﮮ ﮐﺮ ﮐﮯ
ﺩﻭ ﻗﺪﻡ ﭘﮧ ﮨﯽ ﭼﮭﻮﮌ ﺟﺎﺋﮯ ﺍﮔﺮ
‏ﮈﮔﻤﮕﺎﺗﮯ ﻗﺪﻡ ﺍُﭨﮭﺎﺗﮯ ﮨﻮﺋﮯ
ﺧﻮﺩ ﮐﻮ ﮐﯿﺴﮯ ﺳﻨﺒﮭﺎﻟﺘﮯ ﮨﯿﮟ، ﺑﺘﺎ
ﺯﻧﺪﮔﯽ ﺳﮯ ﻧﮑﻠﻨﮯ ﻭﺍﻟﻮﮞ ﮐﻮ
ﺩﻝ ﺳﮯ ﮐﯿﺴﮯ ﻧﮑﺎﻟﺘﮯ ﮨﯿﮟ، ﺑﺘﺎ
Tujh se koi gila nahi lekin
Aik uljhan nahi sulajhti hai
Waqt hai to zara si der thehr
Aiyne se zara si gard hata
Poochna hai ke khwab tooten to
Kirchiyon ko kahan sanbhaalte hain
Dil ko patthar ke sakht paiker mein
Kaise yakdam se dhaalte hain, bata
Umr bhar ke moahide kar ke
Do qadam pe hi chhod jaye agar
Dagmagate qadam uthate huay
Khud ko kaise sanbhaalte hain, bata
Zindagi se nikalne walon ko
Dil se kaise nikaalte hain, bata


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo