Koi Titli Hai Na Jugno Aah Sham e Bekasi Aaj Dil Mein Nastran Ki Shakh Phir Chubne Lagi



 کوئی تتلی ہے نہ جگنو آہ شامِ بیکسی
 آج دل میں نسترن کی شاخ پھر چبھنے لگی
Koi Titli Hai Na Jugno Aah Sham e Bekasi
Aaj Dil Mein Nastran Ki Shakh Phir Chubne Lagi

تونے کیا توڑا گلستاں سے وفا کا ایک پھول
 ہر کلی ہے غیر محرم ہر شگوفہ اجنبی
Tu Ne Kia Toda Gulistan Se Wafa Ka Aik Phool
Har Kali Hai Ghair Muhrim Har Shagofa Ajnabi

بے ارادہ چل رہا ہوں زندگی کی راہ پر
میرے مسلک میں نہیں ہے کاروبارِ رہبری
Be-Iradah Chal Raha Hoon Zindagi Ki Rah Par
Mere Maslak Mein Nahi Hai Karobar e Rehbari

جس میں کچھ انسان کی توقیر کے احکام تھے
 وہ شریعت معبدوں کے زیرِ سایہ سوگئی
Jis Mein Kuch Insan Ki Touqeer Ke Ahkam Thay
Woh Shareeat Masjidon Ke Zer e Saya So Gai

آگئیں بازار میں بکنے خدا کی عظمتیں
جی اٹھی ہیں خواہشیں اور مرگیا ہے آدمی
Aa Gaein Bazar Mein Bikne Khuda Ki Azmatein
Jee Uthi Hein Khuwahishein Aur Mar Gaya Hai Aadmi

میں شعاعوں میں پگھل جاؤں مری فطرت نہیں
 وہ ستارہ ہوں کہ جس کو ڈھونڈتی ہے روشنی
Main Shua'aoun Mein Pighal Jaoun Meri Fitrat Nahi
Woh Sitara Hoon Keh Jis Ko Dhoondti Hai Roshni

 اور کتنی دور ہیں ساغر عدم کی منزلیں
 زندگی سے پوچھ لوں گا راستے میں گر ملی
Aur Kitni Door Hein SAGHAR Adam Ki Manzilein
Zindagi Se Pooch Loonga Rastay Mein Gar Mili

ساغر صدیقی
Saghar Siddiqui


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo