Woh Dil Goshay Mein Arman Ban Ke Rehte Hai Sabhi Se Chup Ke Meri Jan Ban Ke Rehte Hain



وہ دل کے گوشے میں ارمان بن کے رہتے ہیں
سبھی سے چُھپ کے مری جان بن کے رہتے ہیں
Woh Dil Goshay Mein Arman Ban Ke Rehte Hai
Sabhi Se Chup Ke Meri Jan Ban Ke Rehte Hain

عُدو ہو یار ہو چاہے جو لُوٹ لے ہمکو
تمہارے شہر میں نادان بن کے رہتے ہیں
A'audo Ho Yaar Ho Chahe Jo Loot Le Humko
Tumhare Shehar Mein Nadan Ban Ke Rehte Hain

بپھرتی لہریں سمندر کی سب نہیں اُٹھتیں
بَگولے کچھ ہیں جو طوفان بن کے رہتے ہیں
Bipharti Lehreen Samandar Ki Sab Nahi Uthtein
Bagoly Kuch Hain Jo Toofan Ban Ke Rehte Hain

حقیقتیں بھی حقیقت سدا نہیں رہتیں
مگر وہ خواب جو امکان بن کے رہتے ہیں
Haqeeqatein Bhi Haqeeqat Sada Nahi Rehtein
Magar Woh Khuwaab Jo Imkan Ban Ke Rehte Hain

محبتوں کا یہ رشتہ عجیب ہے ارشد
خبر ہے پیار کی انجان بن کے رہتے ہیں
Muhabbaton Ka Ye Reshta Ajeeb Hai ARSHAD
Khabar Hai Piyar Ki Anjan Ban Ke Rehte Hain

مرزا ارشد علی بیگ
Poet:Mirza Arshad Ali Baig

آڈبان پینسلوانیا
Adyan Pennsylvania U.S.A
١٦ اپریل، ٢٠٢٢

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo