Ghalat Thay Wa'aday Magar Main Yaqeen Rakhta Tha Woh Shakhs Lehjah Bada Dilnasheen Rakhta Tha
غلط تھے وعدے مگر میں یقین رکھتا تھا
وہ شخص لہجہ بڑا دلنشین رکھتا تھا
Ghalat Thay Wa'aday Magar Main Yaqeen Rakhta Tha
Woh Shakhs Lehjah Bada Dilnasheen Rakhta Tha
ہے تار تار مرے اعتماد کا دامن
کسے بتاؤں کہ میں بھی امین رکھتا تھا
Hai Tar Tar Mere Aitemad Ka Daman
Kise Bataoun Keh Main Bhi Ameen Rakhta Tha
اتر گیا ہے رگوں میں مری لہو بن کر
وہ زہر ذائقہ انگبین رکھتا تھا
Utar Gaya Hai Ragon Mein Meri Lahoo Ban Kar
Woh Zehar Zaiqa Angbeen Rakhta Tha
گزرنے والے نہ یوں سرسری گزر دل سے
مکاں شکستہ سہی، پر مکین رکھتا تھا
Guzarne Wale Na Yun Sarsari Guzar Dil Se
Makan Shikasta Sahi , Par Makeen Rakhta Tha
وہ عقلِ کل تھا بھلا کس کی مانتا محسن
خیالِ خام پہ پختہ یقین رکھتا تھا
Woh Aqal e Kul Tha Bhala Kis Ki Manta MOHSIN
Khayal e Khaam Pe Pukhta Yaqeen Rakhta Tha
محسن بھوپالی
Mohsin Bhopali
Comments
Post a Comment