Umar Jab Beet Chali Tou Ye Khula Raaz NASEER Husn Naraz Na Tha Ishq Ko Tadpana Tha



وہ تو بس وعدۂ دیدار سے بہلانا تھا
ہم کو آنا تھا یقیں اُن کو مُکر جانا تھا
Woh Tou Bas Wa'adah e Deedar Se Behllana Tha
Hum Ko Ana Tha Yaqeen Unko Mukar Jana Tha

لاکھ ٹھُکرایا ہمیں تو نے مگر ہم نہ ٹلے
تیرے قدموں سے الگ ہو کے کہاں جانا تھا
Lakh Thukraya Hamein Tu Ne Magar Hum Jana Tha
Tere Qadmon Se Alag Ho Ke Kahan Jana Tha

جن سے نیکی کی توقع ہو وُہی نام دھریں
ایک یہ وقت بھی قسمت میں مری آنا تھا
Jin Se Neki Ki Tawaqa Ho Wahi Nam Dharein
Aik Ye Waqt Bhi Qismat Mein Meri Aana Tha

بے سبب ترکِ تعلق کا بڑا رنج ہوا
لاکھ رنجش سہی اِک عمر کا یارانہ تھا
Be-Sabab Tark e Ta'aluq Ka Bada Ranj Hoa
Laakh Ranjish Sahi Ik Umar Ka Yaarana Tha

نزع کے وقت تو دُشمن بھی چلے آتے ہیں
ایسے عالم میں تو ظالم تجھے آ جانا تھا
Naza'a Ke Waqt Tou Dushman Bhi Chale Aate Hain
Aise Aalam Mein Tou Zalim Tujhe Aa Jana Tha

عمر جب بیت چلی تو یہ کھلا راز نصیر
حسن ناراض نہ تھا عشق کو تڑپانا تھا
Umar Jab Beet Chali Tou Ye Khula Raaz NASEER
Husn Naraz Na Tha Ishq Ko Tadpana Tha
پیر نصیر الدین نصیر
Peer Naseer u Deen Naseer

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo