Main Sach Kahongi Magar Phir Bhi Haar Jaoungi Woh Jhoot Boly Ga Aur La-Jawaab Kar De Ga
دھنک دھنک مری پوروں کو خواب کر دے گا
وہ لمس میرے بدن کو گلاب کر دے گا
Dhanak Dhanak Meri Poron Ko Khuwaab Kar De Ga
Woh Lams Mere Badan Ko Gulaab Kar De Ga
قبائے جسم کے ہر تار سے گزرتا ہوا
کرن کا پیار مجھے آفتاب کر دے گا
Qubaye Jism Ke Har Taar Se Guzarta Hoa
Kiran Ka Piyar Mujhe Aaftaab Kar De Ga
جنوں پسند ھے دل اور تجھ تک آنے میں
بدن کو لہو ناؤ کو چناب کر دے گا
Junoon Pasand Hai Dil Aur Tujh Tak Aany Mein
Badan Ko Lahoo Nav Ko Chanaab Kar De Ga
میں سچ کہوں گی مگر پھر بھی ہار جاؤں گی
وہ جھوٹ بولے گا اور لاجواب کر دے گا
Main Sach Kahongi Magar Phir Bhi Haar Jaoungi
Woh Jhoot Boly Ga Aur La-Jawaab Kar De Ga
انا پرست ھے اتنا کہ بات سے پہلے
وہ اٹھ کے بند مری ہر کتاب کر دے گا
Ana-Parast Hai Itna Keh Baat Se Pehly
Woh Uth Ke Band Meri Kitaab Kar De Ga
اسی طرح سےاگر چاہتا رہا پیہم
سخنوری میں مجھے آفتاب کر دے گا
Isi Tarah Se Agar Chahta Raha Peeham
Sukhanwari Mein Mujhe Aaftaab Kar De Ga
مری طرح سے کوئی ھے جو زندگی اپنی
تمہاری یاد کے نام سے انتساب کر دے گا
Meri Tarah Se Koi Hai Jo Zindagi Apni
Tumhari Yaad Ke Nam Se Intesaab Kar De Ga
پروین شاکر
Parveen Shakir
Comments
Post a Comment