Sahil Se Door Jab Bhi Koi Khuwaab Daikhte Jalte Hoe Charaagh Teh e Aab Daikhte



ساحل سے دُور جب بھی کوئی خواب دیکھتے
جلتے ہوئے چراغ تہِ آب دیکھتے 

Sahil Se Door Jab Bhi Koi Khuwaab Daikhte
Jalte Hoe Charaagh Teh e Aab Daikhte

ہم نے فضول چھیڑ دی زخمِ نہاں کی بات
چُپ چاپ رنگِ خندہِ احباب دیکھتے 

Hum Ne Fazool Chaid Di Zakham e Nihan Ki Baat
Chup Chaap Rang e Khandah e Ahbaab Daikhte

غم کی بس ایک موج نے جن کو ڈبو دیا
اے کاش وہ بھی حلقہِ گرداب دیکھتے 

Gham Ki Bas Aik Mouj Ne Jin Ko Dabo Diya
Aey Kaash Woh Bhi Halqa e Gardaab Daikhte

بیتے دنوں کے زخم کُریدے ہیں رات بھر
آئی نہ جن کو نیند وہ کیا خواب دیکھتے 

Beetay Dinon Ke Zakham Kureday Hein Raat Bhar
Aai Na Jin Ko Neend Woh Kia Khuwaab Daikhte

شکیب جلالی
Shakeeb Jalali


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo