Mujhme kitney raaz hain, batlaaun kya ? Band ek muddat se hoon, khul jaaun kya ?



मुझ में कितने राज़ हैं, बतलाऊँ क्या ?
बंद इक मुद्दत से हूँ , खुल जाऊँ क्या ?

Mujhme kitney raaz hain, batlaaun kya ?
Band ek muddat se hoon, khul jaaun kya ?

आजिज़ी, मिन्नत, ख़ुशामद , इल्तिजा
और क्या क्या करूँ , मर जाऊँ क्या ?

Aajizi, minnat, khushaamad, iltija
Aur main kya kya karun, mar jaaun kya ?

कल यहाँ मैं था जहाँ तुम आज हो
मैं तुम्हारी ही तरह इतराऊँ क्या ?

Kal yahaan main thha jahaan tum aaj ho
Main tumhari hi tarah itraaun kya ?

तेरे जलसे में तेरा परचम लिए
सैंकड़ों लाशें भी हैं , गिनवाऊं क्या ?

Tere jalsey main tera parcham liye
Sekdon laashein bhi hain, ginwaaun kya ?

एक पत्थर है वो मेरी राह का
गर न ठुकराऊँ तो ठोकर खाऊँ क्या ?

Ek patthar hai wo meri raah ka
Gar na tthukraaun to tthokar khaaun kya ?

फिर जगाया तूने सोए शेर को
फिर वही लहजा दराज़ी, आऊँ क्या ?

Phir jagaaya tuney soye sher ko
Phir wohi lehjaa daraazi, aaoon kya ?

राहत इंदौरी
Rahat Indori


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai