Ae Umar e Rawaan Aahista Chal Kuch Reshtay Ban Ke Toot Gaye



ائے عُمرے رواں آہستہ چل
کچھ رِشتے بن کے ٹوٹ گئے
Ae Umar e Rawaan Aahista Chal
Kuch Reshtay Ban Ke Toot Gaye

کچھ بنتے بنتے چُھوٹ گئے
ان ٹوٹے چھوٹے رِشتوں کے
Kuch Bante Bante Choot Gaye
In Toote Chote Reshton Ke

زخموں کو مِٹانا باقی ہے
اے عُمرے رواں آہستہ  چل
Zakhmon Ko Mitana Baqi Hein
Ae Umar e Rawaan Aahista Chal

کچھ فرض نِبھانا باقی ہے
کچھ قرض چُکانا باقی ہے
Kuch Farz Nibhana Baqi Hein
Kuch Qarz Chukana Baqi Hein

کچھ بکھری بکھری یادیں ھیں
کچھ کِرچِنا ٹوٹے خوابوں کی
Kuch Bikhri Bikhri Yaadein Hein
Kuch Kurachna Tootay Khuwabon Ko
ان یادوں کو اِن خوابوں کو
دِل مِیں دفنانا باقی ہے
In Yadoon Ko In Khuwabon Ko
Dil Mein Dafnana Baqi Hai

اے عُمرے رواں
آہستہ چل
Ae Umar e Rawaan
Aahista Chal


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo