Mily Gi Shaikh Ko Janat , Humain Dozakh Aata Hoga Bas Itni Baat Hai Jis Ke Liye Mahshar Bapa Hoga



ملے گی شیخ کو جنت، ہمیں دوزخ عطا ہوگا
بس اتنی بات ہے جس کے لیے محشر بپا ہوگا 

Mily Gi Shaikh Ko Janat , Humain Dozakh Aata Hoga
Bas Itni Baat Hai Jis Ke Liye Mahshar Bapa Hoga
 

رہے دو دو فرشتے ساتھ اب انصاف کیا ہوگا
کسی نے کچھ لکھا ہوگا کسی نے کچھ لکھا ہوگا
Rahe Do Do Fareshty Saath Ab Insaf Kia Hoga
Kisi Ne Kuch Lekha Hoga Kisi Ne Kuch Lekha Hoga
 

بروز حشر حاکم قادر مطلق خدا ہوگا
فرشتوں کے لکھے اور شیخ کی باتوں سے کیا ہوگا
Baroz e Hashar Hakim Qadar Mutlaq Khuda Hoga
Fareshton Ke Lekhay Aur Shaikh Ki Baton Se Kia Hoga
 

تری دنیا میں صبر و شکر سے ہم نے بسر کر لی
تری دنیا سے بڑھ کر بھی ترے دوزخ میں کیا ہوگا
Teri Dunya Mein Sabar o Shukar Se Hum Ne Basar Kar Li
Teri Dunya Se Barh Kar Bhi Tere Dozakh Mein Kia Hoga
 

سکون مستقل دل بے تمنا شیخ کی صحبت
یہ جنت ہے تو اس جنت سے دوزخ کیا برا ہوگا
Sukoon Mustaqil Dil Hai Tamanna Shaikh Ki Suhbat
Yeh Janat Hai Tou Is Janat Se Tere Dozakh Mein Kia Hoga
 

مرے اشعار پر خاموش ہے جز بز نہیں ہوتا
یہ واعظ واعظوں میں کچھ حقیقت آشنا ہوگا
Mere Asha'ar Par Khamosh Hai Juz Buz Nahi Hota
Yeh Wa'aiz Wa'aizon Mein Kuch Haqeeqat Aashna Hoga
 

بھروسہ کس قدر ہے تجھ کو اخترؔ اس کی رحمت پر
اگر وہ شیخ صاحب کا خدا نکلا تو کیا ہوگا
Bharosa Kis Qadar Hai Tujh Ko AKHTAR Uski Rehmat Par
Agar Woh Shaikh Sahib Ka Khuda Nikla Tou Kia Hoga

ہری چند اختر
Hari Chand Akhtar


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo