Raushni ki dhaar par rakhi kahani aur dukh Ankh se behta hua khamosh pani aur dukh
روشنی کی دھار پر رکھی کہانی اور دُکھ
آنکھ سے بہتا ہُوا خاموش پانی اور دُکھ
اب مِرے لفظوں میں وہ پہلے سی کیفیت نہیں
ڈال اب جھولی میں تیری مہربانی اور دُکھ
Raushni ki dhaar par rakhi kahani aur dukh
Ankh se behta hua khamosh pani aur dukh
Ab mere lafzon mein wo pehle si kaifiyet nahi
Daal ab jholi mein teri mehrbani aur dukh
Comments
Post a Comment