Sadiyon ko raaste dikha lamhon ko sazgar kar Dil ko bana chiragh e shab, sooraj ko sharmsar kar



صدیوں کو راستے دکھا لمحوں کو سازگار کر
دل کو بنا چراغِ شب، سورج کو شرمسار کر

شکر، سکوں نصیبِ جاں، صبر، حیات رائیگاں
سوزِ طریق زندگی لمحوں یہ اختیار کر

ان کے بغیر روح کو کیسے ملے کھلی فضا
آگ کو ہم زباں بنا، دریا کو رازدار کر

مل جاؤں راہ میں اگر، یہ بھی ترا نصیب ہے
میں نے یہ تجھ سے کب کہا، تو میرا انتظار کر

یادیں سبھی بھلا چکے نقشِ وفا مٹا چکے
اب تو شکستہ دائرے فکر کے بے حصار کر

ایسا نہ ہو کہ راستے سارا حساب پوچھ لیں
راز ِشکستِ آرزو سب پر نہ آشکار کر

اتریں گی آسمان سے اک دن زمیں پہ راحتیں
دن کو بھی رکھ نگاہ میں، شب پر بھی اعتبار کر
نصیر پرواز

Sadiyon ko raaste dikha lamhon ko sazgar kar
Dil ko bana chiragh e shab, sooraj ko sharmsar kar

Shukr, sukoon naseeb e jan, sabr, hayat e rayegan
Soz e tareeq e zindagi lamhon pe ikhtiyar kar

In ke baghair rooh ko kaise mile khhuli fiza
Aag ko hum zuban bana, dariya ko razdar kar

Mil jaoun raah mein agar, ye bhi tera naseeb hai
Main ne ye tujh se kab kaha, tu mera intizar kar

Yaden sabhi bhula chuke, naqsh e wafa mita chuke
Ab to shikasta daiyre fikr ke be hisar kar

Aisa na ho ke raaste sara hisab pooch len
Raz e shikast e arzu sab par na ashkar ka

Utrengi Aasman Se Ik Din Zameen Peh Rahatein

Din Ko Bhi Rakh Nigaah Mein , Shab Par Bhi Aitbar Kar

Naseer Parwaz


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai