Ab kaun kahe tum se Har baar muhabbat ki



ﺍﺏ ﮐﻮﻥ ﮐﮩﮯ ﺗﻢ ﺳﮯ
ﮨﺮ ﺑﺎﺭ ﻣﺤﺒﺖ ﮐﯽ
ﺗﻘﺼﯿﺮ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﺗﯽ
ﺍﺏ ﮐﻮﻥ ﮐﮩﮯ ﺗﻢ ﺳﮯ
ﻟﻤﺤﻮﮞ ﮐﮯ ﺍﺟﮍﻧﮯ ﻣﯿﮟ
ﺗﺎﺧﯿﺮ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﺗﯽ
ﺍﺏ ﮐﻮﻥ ﮐﮩﮯ ﺗﻢ ﺳﮯ
ﻣﺮﺷﺪ ﮨﮯ ﺍﺩﺍﺳﯽ ﮐﺎ
ﺑﮯ ﭘِﯿﺮ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﺗﯽ
ﺍﺏ ﮐﻮﻥ ﮐﮩﮯ ﺗﻢ ﺳﮯ
ﮨﺮ ﺯﻟﻒ ﻣﺤﺒﺖ ﻣﯿﮟ
ﺯﻧﺠﯿﺮ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﺗﯽ
ﺍﺏ ﮐﻮﻥ ﮐﮩﮯ ﺗﻢ ﺳﮯ
ﺟﻮﮔﯽ ﮐﯽ ﻣﺤﺒﺖ ﻣﯿﮟ
ﺟﺎﮔﯿﺮ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﺗﯽ
ﺍﺏ ﮐﻮﻥ ﮐﮩﮯ ﺗﻢ ﺳﮯ
ﺳﺐ ﺭﻧﮓ ﻣﯿﺴﺮ ﮨﯿﮟ
ﺗﺼﻮﯾﺮ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﺗﯽ
ﺍﺏ ﮐﻮﻥ ﮐﮩﮯ ﺗﻢ ﺳﮯ
ﮨﺮ ﺧﻮﺍﺏِ ﻣﺤﺒﺖ ﮐﯽ
ﺗﻌﺒﯿﺮ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮتی

Ab kaun kahe tum se
Har baar muhabbat ki
Taqseer nahi hoti
Ab kaun kahe tum se
Lamhon ke ujadne mein
Takheer nahi hoti
Ab kaun kahe tum se
Murshid hai udasi ka
Be peer nahi hoti
Ab kaun kahe tum se
Har zulf e muhabbat mein
Zanjeer nahi hoti
Ab kaun kahe tum se
Jogi ki muhabbat mein
Jageer nahi hoti
Ab kaun kahe tum se
Sab rang mayassir hain
Tasveer nahi hoti
Ab kaun kah etum se
Har khwab e muhabbat ki
Tabeer nahi hoti


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo