Apne jalwon se ashnaiy de Khwab mein hi sahi, dikhhaiy de



اپنے جلوؤں سے آشنائی دے
خواب میں ہی سہی، دِکھائی دے
Apne jalwon se ashnaiy de
Khwab mein hi sahi, dikhhaiy de

 
اُس کے اِتنے قریب ہو جاؤں
دل کی دھڑکن اُسے سنائی دے
Us ke itne qareeb ho jaoun
Dil ki dhadkan usay suniya de

 
لاکھ پردوں میں دیکھ لوں اُس کو
میری آنکھوں کو وہ رسائی دے
Lakh pardon mein dekh loon us ko
Meri ankhon ko wo rasaiy de

 
یا تو شہزاد ہو وہ بس میرا
یا مُجھے قید سے رہائی دے

Ya to Shehzad ho wo bas mera
Ya mujhe qaid se rihaiy de

 
شہزاد مغل عجمی
Shehzad Mughal Najmi


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo