Gham ko dil mein kahin chhupate rahe Choat khha kar bhi muskurate rahe



غم کو دل میں کہیں  چُھپاتے رہے
چـوٹ کھا کر بھی مُسکراتے رہے
تجھ کو معلوم کیا کہ فرقت میں
خـود کو ہـم کس طرح مناتے رہے
جو  تیرے عشق میں ہوئے رسوا
کیا تجھے بھی وہ یـاد آتے رہے
کتنی خوش فہمیاں رہیں ہـم میں
آگ پـانی میں ہم جلاتے رہے
دور کرتـی گئـی یہ نزدیکی
فاصلے پـیار کـو بڑھاتـے رہے
بس یہی مشغلہ رہا ترے بعد
شعر لکھتے رہے، سُناتے رہے
وہ  بھی تیرے نہیں ہوئے احمد
تم جنہیں جانِ جاں بلاتے رہے


Gham ko dil mein kahin chhupate rahe
Choat khha kar bhi muskurate rahe
Tujh ko maloom kia ke furqat mein
Khud ko hum kis tarah manate rahe
Jo tere ishq mein huay rusva
Kia tujhe bhi wo yad atay rahe
Kitni khush fehmiyan raheen hum mein
Aag pani mein hum jalate rahe
Door karti gaiy ye nazdeeki
Fasle pyar ko badhate rahe
Bas yehi mashghala raha tere baad
Sher likhhte rahe sunate rahe
Wo bhi tere nahi huay
Ahmed
Tum jinhen jan e jan bulate rahe


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo