Gumshuda ho gaiy parchhayeen bhi parchhaiyon mein Itni tanhaiy mayassir rahi tanhaiyon mein



Gumshuda ho gaiy parchhayeen bhi parchhaiyon mein
Itni tanhaiy mayassir rahi tanhaiyon mein
Hamari fikr mein oonchaiy ki tafseer hai youn
Dhoondi jayen zara gehraiyan gehraiyon mein
Ankhon ankhon mein guzar jati hain raten aksar
Wo qayamat hai khayalat ki angdaiyon mein
Andhera takht pe sooraj ki tarah jab aya
Gawahi chaand se mangi gaiy sunwaiyon mein
Dekha hai soag ko bhi hum ne balayen lete
Aur ansu bhi barasta huay shehnaiyon mein
Haq ki rahon pe to mud kar nahi dekha jata
Baad e eeman jo palta gaya gumrahiyon mein
Hum ne kuch lafz kitabon se noch daale hain
Bad numa lagta har jhoot to sachaiyon mein
Itna ilzam mile ishq mein hum ko Khaki
Khauf jata raha rusvaiy ka rusvaiyon mein

Khurram Khaki Rizvi


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo