Kabhi chah ki kami se kabhi dil ki bedili se Mujhe wasta hai aksar meri ankh ki nami se




Kabhi chah ki kami se kabhi dil ki bedili se
Mujhe wasta hai aksar meri ankh ki nami se

Gaiy shab ki kia kahoon main ke qarar hi nahi tha
Ajab bekali thi chhaiy kisi shakhs ki kami se

Mujhe ranj o gham musalsal, mera dard dard e paiham
Koi charah gar se keh de mujhe kia gharz khushi se

Mere chak chak damaan, mere pa’on mein hain chhale
Main azal ka hoon musafir mujhe kia gharz kisi se

Mujhe doston ne loota, mujhe rehbaron ne becha
Mujhe kia gila ho rehzan teri aik rehzani se

Qaiser Jameel Nadvi


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo