مُجھ سے میری عُمر کا خسارہ پوچھتے ہیں یعنی لوگ مُجھ سے تمھارا پوچھتے ہیں میں بتاتا ہوں اس سے اب تعلق نہیں رہا اُنہیں یقین نہیں آتا دوبارہ پوچھتے ہیں Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein Main Batata Hoon Us Se Ab Ta'aluq Nahi Raha Unhein Yaqeen Nahi Aata Dobara Poochtay Hein
اک میں پھیکی چاء نئیں پیندا دوجا ٹھنڈی چاء نئیں پیندا Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda جیڑی چاء وچ چاہ نہ ہو وے جی میں ایسی چاء نئیں پیندا Jedi Chaah Wich Chaah Na Ho We Jee Mein Aisi Chaah Naein Peenda یا تے چاہ ای چھڈ دتی سو یا فیر ساڈی چاء نئیں پیندا Ya Te Chaah Ee Chad Diti So Ya Fer Sadi Chaah Naein Peenda کلا بہ کےچاء پیندا اے پر میں کلی چاء نئیں پیندا Kalla Beh Ke Chaah Peenda Ae Par Main Kalli Chaah Naein Peenda تیری چاہ کوئی وکھری چاہ اے جا میں تیری چاء نئیں پیندا Teri Chaah Koi Wakhri Chaah Ae Ja Main Teri Chaah Naein Peenda نا معلوم Na-Maloom
وہ حمدیہ کلام جس کی آواز اور کلام کو علامہ اقبال سے منسوب کیا جاتا ہے Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai شاعر :عتیق احمد جاذب Poet:Ateeq Ahmad Jazib Be-Jaan Sa Pathar Bhi Nahi Hai Tu Koi Fareshta Ya Piamber Bhi Nahi Hai Tu Ilam Ka Chima Ya Samandar Bhi Nahi Hai Par Rab Ki Nigahon Mein Tu Kamtar Bhi Nahi Hai Jo Kuch Bhi Hai Tu Apni Hadon Ko Pehchan Rehman Ki Pakkad Se Tu Bahir Bhi Nahi Hai Dunya Na Basa Dil Mein Keh Dunya Ki Haqeeqat Machar Ke Kisi Par Ke Barabar Bhi Nahi Hai Dekhiye Khuda Ko Kisi Ne Dekha Nahi Hai Lekin Sari Dunya Khuda Ko Manti Hai Ye Kis Tarah Ye Main Ne Is Asha'ar Mein Kaha Hai Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Soraj Ke Ujhalay Se Fizaoun Se Khala Se Chand Aur Sitaron Ki Chamak Aur Zia Se Jangal Ki Khamoshi Se Pahadon Ki Ana Se Pur Hol Samandar Se Pur Israr Ghata Se Bijli Ke Chamaknay Se Kadaknay Ki Sada Se Mitti Ke Khazanon Se Anajon Se Ghiza Se Toofan Se Pani Se Hawa Se Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata
Comments
Post a Comment