Kabhi to hijr zadon ka naseeb jage ga Kabhi to ankh gunahgar e khwab thehre gi



کبھی تو ہجر زدوں کا نصیب جاگے گا
کبھی تو آنکھ گنہگارِ خواب ٹھہرے گی
کسی کے ہاتھ تو لگنا ہے اشکِ خونیں کو
کسی کنارے تو شاخِ گلاب ٹھہرے گی
غبار آنکھ میں اڑتا رہے تو اچھا ہے
یہ نہر ورنہ کسی دن چناب ٹھہرے گی
بیدل حیدری
Kabhi to hijr zadon ka naseeb jage ga
Kabhi to ankh gunahgar e khwab thehre gi
Kisi ke hath to lagna hai ashk e khooneen ko
Kisi kinare to shakh e gulab thehre gi
Ghubar ankh mein udta rahe to acha hai
Ye nehr warna kisi din Chanab thehre gi

Bedil Haidery


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo