Khwab aisa ke dekhte rahiye Yad aisi ke hafiza le jaye



خواب ایسا کہ دیکھتے رہیے
یاد ایسی کہ حافظہ لے جائے

اس سے کہنا کہ کیا نہیں اس کے پاس
پھر بھی درویش کی دعا لے جائے

میں غریب الدیار میرا کیا
موج لے جائے یا ہوا لے جائے

خاک ہونا ہی جب مقدر ہے
اب جہاں بختِ نارسا لے جائے
رسا چغتائی

Khwab aisa ke dekhte rahiye
Yad aisi ke hafiza le jaye

Us se kehna ke kia nahi us ke paas
Phir bhi durvesh ki dua le jaye

Main ghareebudiyar, mera kia
Mauj le jaye ya hawa le jaye

Khak hona hi jab muqaddar hai
Ab jahan bakht e na Rasa le jaye

Rasa Chughtai


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo