Main ne dekhi hain yar ki ankhen Mast ankhen, jhuki jhuki ankhen



میں نے دیکھی ہیں یار کی آنکھیں
مست آنکھیں، جھکی جھکی آنکھیں

تھوڑی تھوڑی سی سرمئی آنکھیں
اور تھوڑی سی شبنمی آنکھیں

ایسا کیا ہے تمھاری آنکھوں میں
تم کو ڈھونڈیں گلی گلی آنکھیں

ان کی کوئی مثال کیسے ہو
لب گلابی، شراب سی آنکھیں

تیری آنکھوں کو دیکھ کر جانا
کیسے کرتی ہیں شاعری آنکھیں

تیری آنکھیں بنا کے کاغذ پر
روز چوموں میں کاغذی آنکھیں

تیری آنکھوں کی خیر ہو جاناں
تیری آنکھوں پہ وار دی آنکھیں

میرے جیون کی کالی راتوں میں
بھر گئیں روشنی تِری آنکھیں

ہر کسی پر نگاہ الفت کی
ہم سے برتی ہیں بے رخی آنکھیں
ن م راشد

Main ne dekhi hain yar ki ankhen
Mast ankhen, jhuki jhuki ankhen

Thodi thodi si surmaiy ankhen
Aur thodi si shabnami ankhen

Aisa kia hai tumhari ankhon mein
Tum ko dhoonden gali gali ankhen

Un ki koi misal kaise ho
Lab gulabi, sharab si ankhen

Teri ankhon ko dekh kar jana
Kaise karti hain sha’iri ankhen

Teri ankhen bana ke kaghaz par
Roz choomoon main kaghazi ankhen

Teri ankhon ki khair ho janan
Teri ankhon pe var di ankhen

Mere jeeven ki kaali raton mein
Bhar gayeen raushni teri ankhen

Har kisi par nigah ulfat ki
Hum se barti hain berukhi ankhen

Noon Meem Rashid


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo