Aik hi ishq to har baar nahi kar sakte Dil ko phir waqif e azaar nahi kar sakte



ایک ہی عشق تو ہر بار نہیں کر سکتے
دل کو پھر واقفِ آزار نہیں کر سکتے
Aik hi ishq to har baar nahi kar sakte
Dil ko phir waqif e azaar nahi kar sakte

 
یوں تو ہم بھی ہیں طلبگارِ توجہ لیکن
مانگ سکتے نہیں، اِصرار نہیں کر سکتے
Youn to hum bhi hain talabgar e tawajju lekin
Mang sakte nahi israr nahi kar sakte

 
اس کو چھونے کی اجازت بھی نہیں ہے یعنی
دیکھ سکتے ہیں مگر پیار نہیں کر سکتے
Us ko chhune ki ijazat bhi nahi hai yani
Dekh sakte hain magar pyar nahi kar sakte

 
کیا اذیت ہے یہ اِک طرفہ محبت بھی کہ ہم
لاکھ چاہیں بھی تو اِظہار نہیں کر سکتے
Kia azziyat hai ye ek tarfa muhabbat bhi ke hum
Lakh chahen bhi to izhar nahi kar sakte

 
خواہشیں جیسے کوئی گہرا سمندر ہے حِنا
ڈوب سکتے ہیں مگر پار نہیں کر سکتے
Khwahishen jaise koi gehra samundar hai Hina
Doob sakte hain magar paar nahi kar sakte

 
کتنا دشوار ہوا جاتا ہے سانسوں کا سفر
اور ہم راستہ ہموار نہیں کر سکتے
Kitna dushwar hua jata hai sanson ka safar
Aur hum raasta humwar nahi kar sakte

 
دوست، کردار ہے پر باعثِ توقیرِ جہاں
ہم فقط حسن کو معیار نہیں کر سکتے
Dost, kirdar hai par ba’is e tauqeer e jahan
Hum faqat husn ko mayar nahi kar sakte

 
حِناکوثر
Hina Kauser

 


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo