Bujhti yadon ko hawa deti hain Barishen aur jalaa deti hain



بجھتی یادوں کو ہوا دیتی ہیں
بارشیں اور جلا دیتی ہیں
Bujhti yadon ko hawa deti hain
Barishen aur jalaa deti hain

 

بوندیں مٹی پہ پڑیں تو تیرے
نقش خوشبو سے بنا دیتی ہیں

Boonden mitti pe paden to tere
Naqsh khushbu se bana deti hain

 
بیتی گھڑیاں بھی ہیں بارش جیسی
یوں برستی ہیں بہا دیتی ہیں

Beete ghhadiyan bhi hain barish jaisi
Youn barasti hain baha deti hain

 
ایسے موسم میں ہماری آنکھیں
سارے منظر کو رلا دیتی ہیں
Aise mausam mein hamari ankhen
Sare manzar ko rula deti hain

 
یونہی دل بارشوں پر مرتا ہے
کیا یہ حسرت کے سوا دیتی ہیں

Younhi dil barishon pe marta hai
Kia ye hasrat ke siwa deti hain

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo