Diye bohat hain yar sitare, kaun tumhare jaisa hai Kaun hamara man ujiyare, kaun tumhare jaisa hai



دیئے بہت ہیں یار ستارے، کون تمہارے جیسا ہے
کون ہمارا من اجیارے کون تمہارے جیسا ہے

Diye bohat hain yar sitare, kaun tumhare jaisa hai
Kaun hamara man ujiyare, kaun tumhare jaisa hai

 
راه مين ایک سو ایک شجر ہیں، باغ میں ایک سو ایک گلاب
آنکھ میں ایک سو ایک نظارے کون تمہارے جیسا ہے
Raah mein aik sau aik shajar hain, bagh mein aik sau aik gulab
Ankh mein aik sau aik nazare kaun tumhare jaisa hai

موج سے کٹتی موج نے آخر کہیں تو آ کر گرنا تھا
سو ساگر ہیں، لاکھ کنارے، کون تمہارے جیسا ہے
Mauj se kat-ti mauj ne akhir kahin to aa kar girna tha
Sau sagar hain, lakh kinare kaun tumhare jaisa hai

 
نیلوفر افضل
Neelofar Afzal


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo