Dua Ka Toota Hoa Harf Sard Aah Mein Hai Teri Judaai Ka Manzar Abhi Nigah Mein Hai



دُعا کا ٹوٹا ہُوا حرف سرد آہ میں ہے
تیری جُدائی کا منظر ابھی نگاہ میں ہے
Dua Ka Toota Hoa Harf Sard Aah Mein Hai 

Teri Judaai Ka Manzar Abhi Nigah Mein Hai


تیرے بدلنے کے با وصف تجھ کو چاہا ہے
یہ اعتراف بھی شامل میرے گناہ میں ہے
Tere Badalne Ke Bawasaf Tujhko Chaha Hai

Yeh Aiteraf Bhi Shamil Mere Gunah Mein Hai


سراب دے گا تو پھر مجھ کو خواب بھی دے گا
میں مطمئن ہوں میرا دل تیری پناہ میں ہے
Sarab Dega Tou Phir Mujh Ko Khuwaab Bhi Dega

Main Mutmaen Hon Mera Dil Teri Panah Mein Hai


جسے بہار کے مہمان خالی چھوڑ گئے
وہ اِک مکان ابھی تک مکیں کی چاہ میں ہے

Jise Bahar Ke Mehman Khali Chhod Gaye

Woh Ik Makan Abhi Tak Makeen Ki Chaah Mein Hai


پروین شاکر

Parveen Shakir

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo