Humain Jo Yaad Madeene Ka Lalazar Aaya Tasawuraat Ki Dunya Peh Ik Nikhar Aaya



ہمیں جو یاد مدینے کا لالہ زار آیا
تصوّرات کی دُنیا پہ اِک نِکھار آیا

Humain Jo Yaad Madeene Ka Lalazar Aaya 

Tasawuraat Ki Dunya Peh Ik Nikhar Aaya

 
کبھی جو گُنبدِ خِضرا کی یاد آئی ہے
بڑا  سکون  مِلا  ہے  ،  بڑا   قرار   آیا

Kabhi Jo Gunbat e Khira Ki Yaad Aai Hai

Bada Sukoon Mila Hai , Bada Qarar Aaya


 یقین کر کہ مُحمّدﷺ کے آستانے پر
جو بدنصیب گیا ہے ، وُہ  کامگار  آیا

Yaqeen Kar Keh Muhammad(P.B.U.H) Ke Aastane Par

Jo Badnaseeb Gaya Hai , Woh Kamgar Aaya


ہزار شمس و قمر راہِ شوق سے گُزرے
خیالِ حُسنِ مُحمّدﷺ ، جو بار بار آیا

Hazar Shams o Qamar Rah e Shouq Se Guzre

Khayal e Husn e Muhammad(P.B.U.H) Jo Bar Bar Aaya

 
عرب کے چاند نے صحرا بسا دیئے ساغرؔ
وُہ ساتھ لے کے  تجلّی  کا ، اِک  دیار  آیا

Arab Ke Chand Ne Sahra Basa Diye SAGHAR

Woh Saath Le Ke Tajalli Ka , Ik Dayar Aaya 

شاعر: ساغرؔ صدیقی

Poet:Saghar Siddiqui


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo