Koi chhaon ho Jise chhaon kehne mein



کوئی چھاؤں ہو
جسے چھاؤں کہنے میں
دوپہر کا گماں نہ ہو
کوئی شام ہو
جسے شام کہنے میں شب ﮐﺎ
نشاں نہ ہو
کوئی وصل ہو
جسے وصل کہنے میں ہجرت ﮐﺎ
دھواں نہ ہو
کوئی لفظ ہو
جسے لکھنے پڑھنے کی چاہ میں
کبھی ایک لمحہ گراں نہ ہو

Koi chhaon ho
Jise chhaon kehne mein
Dopehr ka guman na ho
Koi sham ho
Jise sham kehne mein shab ka
Nishan na ho
Koi wasl ho
Jise wasl kehne mein hijrat ka
Dhuwan na ho
Koi lafz ho
Jise likhhne padhne ki chah mein
Kabhi aik lamha giran na ho


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo