Koi Kamal Hoa Na Us Kamal Ke Ba'ad Keh Aik Shakhs Na Bhaya Tere Wisal Ke Ba'ad



کوئی کمال ہوا پھر نہ اس کمال کے بعد
کہ ایک شخص نہ بھایا ترے وصال کے بعد
Koi Kamal Hoa Na Us Kamal Ke Ba'ad

Keh Aik Shakhs Na Bhaya Tere Wisal Ke Ba'ad


اسے ملال کہ میں نے اسے چھوا ہی نہیں
مجھے ملال کہ اس نے کہا ملال کے بعد
Usay Malal Keh Main Ne Usay Chhowa Hi Nahi

Mujhe Malal Keh Usne Kaha Malal Ke Ba'ad


کبھی بھی عشق جو کرنا تو سوچ کر کرنا
یہ تجربہ ہے مرا یار اپنے حال کے بعد
Kabhi Bhi Ishq Jo Karna Tou Soch Kar Karna

Yeh Tajruba Hai Mera Yaar Apne Haal Ke Ba'ad


برہنہ روح تھی جب تک کوئی تماشہ نہ تھا
یہ سب شروع ہوا ایک خد و خال کے بعد
Barehna Rooh Thi Jab Tak Koi Tamasha Na Tha

Yeh Sab Shuro Hoa Aik Khad o Khaal Ke Ba'ad


عجیب رنگ دکھائے ہیں عشق نے تیرے
کہ میں عروج پہ آیا مرے زوال کے بعد
Ajeeb Rang Dekhaye Hein Ishq Ne Tere

Keh Main Urooj Peh Aaya Mere Zawaal Ke Ba'ad


ترے وصال سے نکلا تو ہجر ٹوٹ پڑا
میں پھر سے جال میں آیا ہوں ایک جال کے بعد

Tere Wisal Se Nikla Tou Hijar Toot Pada

Main Phir Se Jaal Mein Aaya Hoon Aik Jaal Ke Ba'ad


عادل فرحت

Adil Farhat

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo