Noor hi noor se mukhhde pe wo nori ankhen Us ke Injeel se chehre pe zaboori ankhen



نُور ہی نُور سے مکھڑے پہ وہ نُوری آنکھیں
اُس کے انجیل سے چہرے پہ زبُوری آنکھیں
Noor hi noor se mukhhde pe wo nori ankhen
Us ke Injeel se chehre pe zaboori ankhen

 
چھوڑ آیا ہوں کسی آنکھ میں بینائی کو
اور بچا لایا ہوں چہرے پہ اَدھُوری آنکھیں
Chhod aya hoon kisi ankh mein beenaiy ko
Aur bacha laya hoonchehre pe adhoori ankhen

 
ایک جادُو ہے سبھی کا کئی منتر لیکن
سبزگُوں ہیں، کہیں نیلی، کہیں بُھوری آنکھیں
Aik jadu hai sabhi ka kaiy mantar lekin
Sabz goon, kahin Neely, kahin bhoori ankhen

 
اُس کو پہلو میں بٹھا کر اُسے تکنے کا نشہ
کس قدر ہو گئیں چہرے پہ ضروری آنکھیں

Us ko pehlu mein bitha kar usay takne ka nasha
Kis qadar ho gayeen chehre pe zaruri ankhen

 
احمد سلمان
Ahmed Salman


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo