Rakhta hai apne sath gunahon ka baar dil Ujle se mere seene mein hai daghdar dil



رکھتا ہے اپنے ساتھ گناہوں کا بار دل
اجلے سے میرے سینے میں ہے داغدار دل 

Rakhta hai apne sath gunahon ka baar dil
Ujle se mere seene mein hai daghdar dil

 
تقویٰ سے گر بھرا ہو تو پھر نیکیوں کی سمت
اس طرح دوڑتا ہے کہ ہو شہسوار دل

Taqwa se gar bhara ho to phir nekiyon ki simt
Is tarah daudta hai ke ho shehsawar dil

 
ہیں آج سب کے سینوں میں پتھر رکھے ہوئے
برسائے آسمان سے پروردگار دل

Hain aj sab ke seenon mein patthar rakhe huay
Barsaye asman se Parwardigar dil

 
کب تک تو اس کی یاد کو رکھے گا اوڑھ کر
پھٹنے لگی ہے اب تو قبا یہ اتار دل
Kab tak tu us ki yad ko rakhe ga odh kar
Phatne lagi hai ab to qaba ye utar dil

 
کانٹوں سے غم کے اس کو چھڑانے کے واسطے
کھینچا جو میں نے اور ہوا تار تار دل

Kanton se gham ke is ko chhudane ke waste
Khhencha jo main ne aur hua taar taar dil

 
ہر بات پر ہے میرا یہ دشمن بنا ہوا
سینے میں چبھتا رہتا ہے مانند خار دل

Har bat par hai mera ye dushman bana hua
Seene mein chubhta rehta hai manind e khar dil


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo