Akeli sham youn galiyon, makanon se guzarti hai Phire seene mein jaise iztirab ahista ahista



کیلی شام یوں گلیوں، مکانوں سے گزرتی ہے
پھرے سینے میں جیسے اضطراب آہستہ آہستہ
Akeli sham youn galiyon, makanon se guzarti hai
Phire seene mein jaise iztirab ahista ahista

 
شبِ تنہا نجانے میں کسے آواز دیتا ہوں
نجانے کون دیتا ہے جواب آہستہ آہستہ
Shab e tanha najane main kise awaz deta hoon
Najane kaun deta hai jawab ahista ahista

 
کسی کے پرتوِ دیدار سے رنگیں ہوئی چلمن
پلک بنتی رہی یہ تارِ خواب آہستہ آہستہ
Kisi ke partave deedar see rangeen hui chilman
Palak bunti rahi te taar e khwab ahista ahista

 
سرمد صہبائی
Sarmad Sehbai


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo