Isi sawal ne chhoda nahi kahin ka mujhe Tumhari ankh se nikla hua kidhar jaye



اسی سوال نے چھوڑا نہیں کہیں کا مجھے
تمھاری آنکھ سے نکلا ہوا کدھر جائے 

Isi sawal ne chhoda nahi kahin ka mujhe
Tumhari ankh se nikla hua kidhar jaye

 
اُدھیڑ رکھی ہے اس نے تو کائنات مری
کوئی دعا دلِ وحشی ذرا سدھر جائے 

Udhed rakhi hai is ne to kaiynat meri
Koi dua, dil e wehshi zara sudhar jaye

 
جسے الجھنا ہے، الجھے مگر وثوق کے ساتھ
جسے گزرنا ہے، چپ چاپ وہ گزر جائے

Jise ulajhna hai, uljhe magar wasooq ke sath
Jise guzarna hai chup chap wo guzar jaye

 
گل جہان
Gul Jahan


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo