Sab tere naam ki takhti pe ibarat ki hai Main ne tanhaiy mein jitni bhi riazat ki hai



سب ترے نام کی تختی پہ عبارت کی ہے
میں نے تنہائی میں جتنی بھی ریاضت کی ہے

تیری تصویر تصور کی رحل پر رکھ کر
میں نے اکثر ترے چہرے کی تلاوت کی ہے

رات شعلے سے لپکتے تھے رخ ِ گردوں پر
ایسا لگتا تھا، ستاروں نے بغاوت کی ہے

جب بھی آئے ہو، تمہیں دی ہے سلامی سر کی
پتھرو میں نے تمہاری بڑی عزت کی ہے

گفتگو لوگ نہیں کرتے ہیں آئینوں سے
جب سے اس شخص نے اس شہر سے ہجرت کی ہے

وہ تجارت کے اصولوں سے ہی ناواقف تھا
جس نے منڈی میں مقرر مری قیمت کی ہے

ان کے چہروں سے کسی روز اتاروں گا نقاب
امن کے نام پہ جس جس نے سیاست کی ہے

یہ جو اشجار ہیں، دراصل مساجد ہیں میاں
ان پہ اک عمر پرندوں نے عبادت کی ہے

سلطنت تیری ترے کام نہ آئی مشتاق
دل کی جاگیر پہ اوروں نے حکومت کی ہے
حبیب الرحمان مشتاق

Sab tere naam ki takhti pe ibarat ki hai
Main ne tanhaiy mein jitni bhi riazat ki hai

Main ne tasveer tasavvur ki rehl par rakh kar
Main ne aksar tere chehre ki tilawat ki hai

Rat shole se lapakte thay rukh e gardoon par
Aisa lagta tha sitaron ne baghawat ki hai

Jab bhi aye ho, tumhen di hai salami sar ki
Pattharo, main ne tumhari badi izzat ki hai

Guftugu loag nahi karte hain aiynon se
Jab se us shakhs ne is shehr se hijrat ki hai

Wo tijarat ke usoolon se hi nawaqif tha
Jis ne mandi mein muqarrar meri qeemat ki hai

Un ke chehron se kisi roz utaroon ga niqab
Amn ke naam pe jis jis ne siasat ki hai

Ye jo ashjar hain, darasl masajid hain miyan
In pe ek umr parindon ne ibadat ki hai

Saltanat teri tere kaam na aiy
Mushtaq
Dil ki jageer pe auron ne hukoomat ki hai
Habib ur Rahman Mushtaq


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo