Agar chiragh bhi aandhi se dar gaye hote To sochiye ke ujale kidhar gaye hote
اگر چراغ بھی آندھی سے ڈر گئے ہوتے
تو سوچیے کہ اجالے کدھر گئے ہوتے
Agar chiragh bhi aandhi se dar gaye hote
To sochiye ke ujale kidhar gaye hote
یہ میرے دوست، مرے چارہ گر، مرے احباب
نہ چھیڑتے تو مرے زخم بھر گئے ہوتے
Ye mere dost, mere charah gar, mere ehbab
Na chhedte to mere zakhm bhar gaye hote
کوئی نگاہ جو اپنی بھی منتظر ہوتی
تو ہم بھی شام ڈھلے اپنے گھر گئے ہوتے
Koi nigah jo apni bhi muntazir hoti
To hum bhi sham dhale apne ghar gaye hote
نفس انبالوی
Nafs Ambalvi
Comments
Post a Comment