Bat wo adhi rat ki rat wo poore chaand ki Chaand bhi ain chet ka, us pe tera jamal bhi



بات وہ آدھی رات کی، رات وہ پورے چاند کی
چاند بھی عین چیت کا اس پہ ترا جمال بھی 

Bat wo adhi rat ki rat wo poore chaand ki
Chaand bhi ain chet ka, us pe tera jamal bhi

 
سب سے نظر بچا کے وہ مجھ کو کچھ ایسے دیکھتا
ایک دفعہ تو رک گئی گردش ماہ و سال بھی 

Sab se nazar bacha ke wo mujh ko kuch aise dekhta
Aik dafa to ruk gaiy gardish e maah o sal bhi

 
دل تو چمک سکے گا کیا پھر بھی تراش کے دیکھ لیں
شیشہ گران شہر کے ہاتھ کا یہ کمال بھی

Dil to chamak sake ga kia phir bhi tarash ke dekh len
Sheesha garan e shehr ke hath ka ye kamal bhi

 
اس کی سخن طرازیاں میرے لیے بھی ڈھال تھیں
اس کی ہنسی میں چھپ گیا اپنے غموں کا حال بھی 

Us ki sukhan taraziyan mere liye bhi dhaal theen
Us ki hansi mein chhup gaya apne ghamon ka haal bhi

گاہ قریب شاہ رگ گاہ بعید وہم و خواب
اس کی رفاقتوں میں رات ہجر بھی تھا، وصال بھی 

Gah qareeb shah rag, gah baeed wehm o khwab
Us ki rafaqaton mein rat hijr bhi tha wisal bhi

 
اس کے ہی بازوؤں میں اور اس کو ہی سوچتے رہے
جسم کی خواہشوں پہ تھے روح کے اور جال بھی

Us ke hi bazuon mein aur us ko hi sochte rahe
Jism ki khwahishon pe thay rooh ke aur jaal bhi
 

پروین شاکر
Parveen Shakir

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo