Dil e pur shauq ko pehlu mein dabaye rakha Tujh se bhi hum ne tera pyar chhupaye rakha



دل پر شوق کو پہلو میں دبائے رکھا
تجھ سے بھی ہم نے ترا پیار چھپائے رکھا

Dil e pur shauq ko pehlu mein dabaye rakha
Tujh se bhi hum ne tera pyar chhupaye rakha


چھوڑ اس بات کو اے دوست کہ تجھ سے پہلے
ہم نے کس کس کو خیالوں میں بسائے رکھا 

Chhodo is bat ko ay dost ke tujh se pehle
Hum ne kis kis ko khayalon mein basaye rakha

 
غیر ممکن تھی زمانے کے غموں سے فرصت
پھر بھی ہم نے ترا غم دل میں بسائے رکھا 

Ghair mumkin thi zamane ke ghamon se fursat
Phir bhi hum ne tera gham dil mein basaye rakha

 
پھول کو پھول نہ کہتے سو اسے کیا کہتے
کیا ہوا غیر نے کالر پہ سجائے رکھا 

Phool ko phool na kehte so usay kia kehte
Kia hua ghair ne collar pe sajaye rakha

 
جانے کس حال میں ہیں، کون سے شہروں میں ہیں وہ
زندگی اپنی جنہیں ہم نے بنائے رکھا 

Jane kis haal mein hain, kaun se shehron mein hain wo
Zindagi apni jinhen hum ne banaye rakha

 
ہائے کیا لوگ تھے وہ لوگ، پری چہرہ لوگ
ہم نے جن کے لیے دنیا کو بھلائے رکھا 

Haye kia loag thay wo loag, pari chehra loag
Hum ne jin ke liye duniya ko bhulaye rakha

 
اب ملیں بھی تو نہ پہچان سکیں ہم ان کو
جن کو اک عمر خیالوں میں بسائے رکھا 

Ab milen bhi to na pehchan saken hum un ko
Jin ko ek umr khayalon mein basaye rakha

 
حبیب جالب

Habib Jalib


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo