Har naye taane se ek khwab ki tauleed mein hai Raz tameer ka pinhan isi tanqeed mein hai



ہر نئے طعنے سے اک خواب کی تولید میں ہے
راز تعمیر کا پنہاں اسی تنقید میں ہے

مجھ کو معلوم ہے، نقصان بہت ہے لیکن
کیا بتاؤں جو مزہ یار کی تقلید میں ہے

ضبط کی حد سے بہت آگے کہیں ہے اک شخص
اور قیامت کے بپا ہونے کی امید میں ہے

درد کہہ دینے سے گھٹتا ہے، تجھے کس نے کہا
درد سے بڑھ کے دکھن درد کی تمہید میں ہے

یار کی لا پہ کہوں لا، یہی سیکھا ہے فقط
دل مرا قید اسی حجرہِ توحید میں ہے
نعمان شفیق

Har naye taane se ek khwab ki tauleed mein hai
Raz tameer ka pinhan isi tanqeed mein hai

Mujh ko maloom hai, nuqsan bohat hai lekin
Kia bataoun jo maza yar ki taqleed mein hai

Zabt ki had se bohat agay kahin hai ek shakhs
Aur qayamat ke bapa ho e ki umeed mein hai

Dard keh dene se ghhat-ta hai tujhe kis ne kaha
Dard se badh ke dukhhan dard ki tamheed mein hai

Yar ki la pe kahoon la, yehi seekha hai faqat
Dil mera qaid isi hujrah e tauheed mein hai

Noman Shafiq


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo