Nazar mila ke nazar se humen gira to gaya Khuda ka shukr hai dil se ek arza to gaya



نظر ملا کے نظر سے ہمیں گرا تو گیا
خدا کا شکر ہے، دل سے اک عارضہ تو گیا
Nazar mila ke nazar se humen gira to gaya
Khuda ka shukr hai dil se ek arza to gaya

 
ہم اس کے غیر ہیں، آخر بتا دیا اس نے
مگر خوشی ہے کہ ہم سے ہمیں ملا تو گیا
Hum us ke ghair hain akhir bata dia us ne
Magar khushi hai ke hum se humen mila to gaya

 
ہمارے دل میں کوئی واپسی کی راہ نہیں
جو ایک بار یہاں سے اگر گیا تو گیا
Hamare dil mein koi wapsi ki raah nahi
Jo aik baar yahan se agar gaya to gaya

 
عجیب طرز کا جادو ہے اس کی آنکھوں میں
جو ایک بار بھی اس شخص سے ملا _ تو گیا
Ajeeb tarz ka jadu hai us ki ankhon mein
Jo aik baar bhi us shakhs se mila to gaya

 
وگرنہ زندگی بیکار ہی چلی جاتی
صغیر ہم کو بنا کر وہ کچھ بنا تو گیا
Wagarna zindagi bekar hi chali jati
Sagheer hum ko bana kar wo kuch bana to gaya

 
صغیر احمد صغیر
Sagheer Ahmed Sagheer


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo