Neem Khuwabi Ka Fason Toot Raha Ho Jaise Aankh Ka Neend Se Dil Choot Raha Ho Jaise



نیم خوابی کا فسوں ٹوٹ رہا ہو جیسے

آنکھ کا نیند سے دل چُھوٹ رہا ہو جیسے

Neem Khuwabi Ka Fason Toot Raha Ho Jaise

Aankh Ka Neend Se Dil Choot Raha Ho Jaise


رنگ پھیلا تھا لُہو میں نہ ستارہ چمکا

اب کے ہر لمس ترا جُھوٹ رہا ہو جیسے

Rang Phaila Tha Lahoo Mein Na Sitara Chamka

Ab Ke Har Lams Tera Jhot Raha Ho Jaise


روشنی پائی نہیں، رات بھی باقی ہے ابھی

چاند سے ربط مگر ٹوٹ رہا ہو جیسے

Roshni Paai Nahi , Raat Bhi Baqi Hai Abhi

Chand Se Rabt Magar Toot Raha Ho Jaise


سُرخ بیلیں تو ستونوں میں چڑھی ہیں لیکن 

کوئی آنگن کا سکوں لُوٹ رہا ہو جیسے

Surkh Belein Tou Stonon Mein Chadhi Hein Lekin

Koi Aangan Ka Sukoon Laot Raha Ho Jaise

پروین شاکر

Parveen Shakir


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo